Motivation Shayari and Motivational Shayari

Motivation shayari in Hindi, English is an amazing way to inspire people and change their perspective towards their struggle at work, home, or in any aspect of life. Shayari or urdu poetry is an intelligent way of expressing thoughts is couplets of two lines. These motivational shayari will help fight tooth and nail with negative thoughts and obstacles on your path to success. Staying healthy, determined, consistent are significant steps to succeed. One needs to wake up, fight the odds and conquer them every single day, as the beautiful saying goes “one day at a time”. Perhaps, this makes motivational shayari or status crucial in these trying times, to stay positive and work towards their goal. Here’s hoping these 100 inspirational shayari in Hindi and English to keep you motivated and help you get where you want to go.

Best Motivation Shayari

Mere baare mein, koi raai mat banana Ghalib
Mera waqt bhi badlega, aur teri raai bhi

मेरे बारे में कोई राई मत बनाना ग़ालिब
मेरा वक़्त भी बदलेगा, और तेरी राई भी

Manzil milegi, bhatak kar hi sahi
Gumrah to wo hain, jo ghar se nikle hi nahi

मंज़िल मिलेगी, भटक कर हाई सही
वमरह तो वो हैं, जो घर से निकले हि नही

Jo yaqeen ki raah par chal pade, unhein manzilon ne panaah di
Jinhein vasvason (whims) ne dara diya, wo qadam qadam par behak gaye

Khwahishon se bhara pada hai, mera ghar is khadar
Rishte zara si jagah ke liye, tarsate hai

ख़्वाहिशों से भरा पड़ा है, मेरा घर इस क़दर
रिश्ते ज़रा सी जगह के लिए, तरसते है

Agar paana hai manzil to, apna rehnuma khud bano
Wo aksar bhatak jaate hai, jinhein sahara mil jata hai

अगर पाना है मंज़िल तो, अपना रहनुमा ख़ुद बनो
वो अक्सर भटक जाते है, जिन्हीं सहारा मिल जाता है

Kaamyaabi tere liye, humne khudko kuch yun taiyaar kar liya
Maine har jazbaat baazar mein rakh kar, ishtehaar kar liya

Motivational Shayari to Inspire

Yun na jhanko is khadar meri rooh ke andar
Kuch khwahishein meri wahan be-libaas rehti hain

युँ ना झाँको इस खादर मेरी रूह के अंदर
कूच ख़्वाहिशें मेरी वहाँ  बेलिबास रहती हैं

Muqaddar jinke unche, aura ala baqt hote hain
Zindagi mein imtehaan bhi, unhi ke sakht hote hain

Hazaaron khwahishein aisi ke, har khwahish par dam nikle
Bahut nikle mere armaan lekin, phir bhi kam nikle

हज़ारों ख़्वाहिशें ऐसी के, हर ख़्वाहिश पर दम निकले
बहुत निकले मेरे अरमान लेकिन, फिर भी कम निकले

Kaun seekha hai sirf baaton se
Sab ko ek haadsa zaroori hai

Main har raat saari khwahishon ko, khud se pehle sula deta hoon
Hairat ye hai ki, har subah ye mujhe se pehle jaag jaati hai

×

Like us on Facebook